BSEB

Bihar Board Matric 9th Registration 2020 Started | Fill Online Form

Bihar Board Class 9th (Matric) Registration: Hello friends, bihar board ke matric exam 2022 ke liye registration shuru ho chuka hai aur yadi aap abhi class 9th me padh rahe hain to iske liye registration form bhar sakte hain. Is article me Bihar Board Matric 9th Registration 2020 ki puri jankari aap sabhi ke saath share ki jaa rahi hai. Aap sabhi ko bata den ki BSEB ne iske liye official notice jaari kar diya hai jise aap niche se dekh sakte hain aur uske baad registration form bhar sakte hain. Ye sabhi prakriya online hog aur ise kaise karna hai uske bare me niche bataya ja raha hai. To jo bhi chhatra 2022 ke exam me upasthit hone jaa rahe hain ve abhi se hi register kar sakte hain aur iske liye last date 28 Sept 2020 hai.

Bihar board ke class 9th ke student session 2020-22 ke liye registration form bhar sakte hain. iske liye official notice aa chuka hai. Iski shuruaat 10 Sept se ho chuki hai aur iska last date 28 Sept 2020 hai. Sabhi jankari niche di jaa rahi hai.

Contents

Bihar Board BSEB Class 9th Matric Registration Form 2020

To jo bhi chhatra matric exam me bhag lena chahte hain unke liye registration karna anivarya hai aur iske liye official notice ko aap niche se dekh sakte hain.

BSEB Matric Exam Registration Form 2020

Bihar board ne official website par registration form jaari kar diya hai aur ise aap download karke submit kar sakte hain. Form ko download karne ke baad ise aap bhar sakte hain aur uske baad ise college me submit karna hoga. aapke college ke head ya principal is form ko online bharenge aur iske liye unhe board ke dwara user id aur password diya gya hai. Form me sabhi jankari jaise naam, email id, mobile number, aadhar number sahi sahi bharen. Iske saath hi iska shulk yani fee bhi aapko school me hi jama karna hoga.

Principal ke dwara form bhare jane ke baad iska payment slip aap sabhi ko diya jayega Jiska upyog karke baad me aap apna registration card prapat kar sakte hain.

EventsDate 
Notce kab jaari hua10 सितम्बर 2020
Form bharne ki shuruaat hui10 सितम्बर 2020
Last date kya hai28 सितम्बर 2020

Student Bihar board matric registration form kaise bharen?

  • बिहार बोर्ड की आधिकारिक वेबसाइट से परीक्षा फॉर्म डाउनलोड करें|
  • पंजीकरण फॉर्म मे सभी विवरण सही ढंग से भरें
  • इसके बाद अपना फोटोग्राफ और हस्ताक्षर डाल दें|
  • इसके बाद स्कूल प्रशासन को पंजीकरण फॉर्म और शुल्क जमा करें|

Principal BSEB matric registration form kasie bharen?

  • बिहार बोर्ड की आधिकारिक वेबसाइट – https://biharboard.online पर लॉग ऑन करें
  • “वार्षिक परीक्षा 2022 के लिए पंजीकरण / अनुमति” लिंक पर क्लिक करें|
  • बोर्ड द्वारा प्रदान की गई उपयोगकर्ता आईडी और पासवर्ड का उपयोग करके लॉग इन करें
  • इसके बाद एक स्कूल डैश बोर्ड खुलेगा|
  • “छात्र विवरण जोड़ें” मेनू पर क्लिक करें|
  • इसके बाद कक्षा 9 वीं पंजीकरण फॉर्म भरें|
  • छात्रों के फोटो और एक हस्ताक्षर अपलोड करें|
  • परीक्षा फॉर्म के लिए ऑनलाइन भुगतान करें|
  • पंजीकरण पर्ची डाउनलोड करें और छात्र को वितरित करें|

To is prakar aap Bihar Board Matric 9th Registration 2020 bhar sakte hain. Aap sabhi ko ek baar phir se bata den ki iska Last date 28 September 2020 hai aur isse pahle hi aapko Bihar Board Matric 9th Registration form bhar dena hai. Kisi aur prakar ki samasya ke liye aap niche comment kar sakte hain.

1 Comment

Leave a Comment